Saturday, 21 January 2017

21 JAN 2017 HEALTHY FRUIT

CATEGORY ARCHIVES: HEALTHY FRUITS

kele ke or gram pani ke fayde – केले के फायदे

kele ke faydekele ke fayde kafi vyekti mota hone ke liye kela khate hae. subha kele ke sevan karne se aapko kafi energiy milegi or glukoj, jaese poshak tattv bhi milte hae. ismen karbohaidret bhi kafi parchur matra me hota hae. yadi aap roj kela khayenge to aapko kafi sare benefits milenge.

kele ke or gram pani ke fayde

pure sansar men har koi kele ko jarur khata hae. or kafi desho men to kele ki kami bhi hone lagi hae. aap or ham ye jante hae ki kele ko khane se wajan badhta hae. lekin aap kele ko gram pani ke saath lenge to aapka wajan kam hoga.
yadi aap roj kele or gram pani ka sevan karenge to aapki health sudhregi. is tarike se aapka motapa ko kam hoga hi or sath men aapko kafi takat bhi milegi. subha excersies karne se pehle 1 kela jarur khana chahiye isse aapko kafi laabh hoga.
kela or gram pani aapko pure din men kafi takat deta hae. or aapki body fit rehti hae. yadi aap adhik mote hae or kafi nuskhe ajma chuke hae to is gharelu tarike ko bhi aajmaiye apko kafi fayde honge. aapka motapa jarur ghatega ye abhi tak ka is nuskhe ka anubhaw hae. ye aapki energy ko bhi badhata hae.
kela aapke metapolijam ko badhane men madad karta hae. or apki body ki energy ko bhi bnaye rakhta hae. or khane men to kela swadisht hae hi. ye diet santulit bhojan bhi hae.
gram pani ke bhi apne fayde hae. gram pani or kele ke sevan se aapka pachantantr bhi majbut rehta hae. apko kabj jesa rog nahi rehta or aapki health sudhar jati hae. isko khane se apka oxcizen ka satr bhi badhta hae.
apne dekh hi liya hae ki gram pani or kele ke kitne fayde hae. umid karte hae ki apko ye lekh psand aya hoga. is lekh ko apne mitro ke saath sajha karna na bhule.
keywords:- banana ke fayde hindi me, kela khane ke nuksan, kele khane ke fayde in , kela khane ka tarika, banana shake ke fayde in hindi, kela khane ke faide in urdu, केले के फायदे , banana health benefits in hindi, banana health benefits weight loss

qabz ka ilaj kaise kare gharelu nuskhe in hindi – कब्ज का इलाज

Qabz ka ilaj (constipation) yadi aap dhundh rahe hai to is lekh ko dhyan se padhiye. aaj jyada tar vyaktiyon ke ye kabj ka rog dukhi kar raha hai. isiliye aaj jyadatar vyakti (constipation) qabz ka ilaj hi dhundh rahe hai. leki fir bhi qabj ke is rog se chutkara nahi mil pata. lekin aap hmare is article ko padh kar qabj ka ilaj asani se kar payenge esi hame umid hai.
aaj lagbhag vyakti raat ko der se sote hai or subha der se uthte hai jiske karan exercise bhi nhi kar pate or khana nahi pachta or (constipation) kabj ka rog hojata hai. isiliye apni dincharya men sudhar lana bahut jaruri hai. yadi aap roj subha jaldi uthenge to aap apne jivan men kafi kuch hasil kar sakte hai. yadi aapka koi bhi swal ho to aap hamse comments ke dwara puch sakte hai. hame aapke sawalon ka jawab dete hue khushi hogi.
qabz ka ilaj in hindi

Qabz ka ilaj desi tarike se in hindi (constipation)

1:- qabz ka karan body me pani ki kami hota hai. yadi body me water ki kami hai to mal anto men sukh jate hai. isliye qabz ka ilaj karna chahte hai to aap roj 3 se 5 litre pani roj piye yadi aap esa karenge ko aapko kafi fayda hoga aur qabz ka rog dur hoga.
2:- yadi aapke bhojan me reshe ki matra kam hai to bhi aapko kabj hogi yadi ap qabz ka ilaj karna chahte hai to aap esa bhojan kijiye jismen rese ki matra adhik ho. reshedar bhojan men aap hari pttadar sabjiya kha sakte hai or fruits bhi kha sakte hai inme resha adhik hota hai. yadi aap qabz ka ilaj chahte hai to is tarike ke bhojan ko lijiye aapko kafi fayda hoga.
3:- hamesha ye baat dhyan rakhe ki sukha bhojan nahi khana hai hamesha chikna wala hi bhojan khana hai. chikna man aap desi gaye ka hi ghi istemal kare baba ramdev ka patanjali ghee sahi hai aap iska istemal kar sakte hai.
4:- paka hua bel ka fal qabz ke ilaj ke liye achcha hai. roj bel ka juice pijiye kabj thik hogi.
5:- qabj ka ilaj dhund rahe hai to ye tarika apnaiye. roj rat ko 1 gilas gram dudh pijiye. qabz men to dudh fayda karega hi sath men aapko takat bhi dega isiliye roj gram dudh pijiye. gram dudh pine se qabz ka ilaj jrur hoga.
6:- isabgol ki bhusi kabj ka ilaj karne men pram hitkari hai. raat ko sote waqt 2 chamach isabgol ki bhusi dudh ya pani ke saath lijiye isse kabj men kafi fayda hoga. isse aapki aante sakriye hongi.
7:- 1 chamach gaye ka ghi dudh me milakar roj rat ko pijiye aapko kafi fayeda hoga.
8:- roj raat ko aadha katori gram pani men 3 dhakan anwle ke juice ko milakar pijiye kabj ka rog dur hoga. qabz ka ilaj karne ke liye ye nuskha sabse achcha hai is nuskhe se aapka khun bhi saaf hoga or bal bhi kale honge.
9:- 1 katori gram pani men 1 chamach shehad milakar pine se qabj ka ilaj hota hai. is nuskhe ko din men 3 baar istemal kijiye. is tarike se qabz ka ilaj jrur hoga.
10:- qabz ka ilaj karne ke liye roj subha 1 gilas gram pani pijiye or 1 se 2 kilomitar ghumiye qabj dur hogi or aapki health achchi hogi.
11:- qabz ka ilaj karne ke liye roj rat to sote hue or subha khali pet trifle ka ras juice pijiye or qabj ka ilaj kijiye. yadi aap roj ye gharelu nuskhe ko apnayege to aap kabj ke is rog se chutkara pajayenge.
qabz ka ilaj ke liye aap ye video bhi dekh sakte hai
keywords:- qabz ka ilaj in hindi, qabz ka desi ilaj, desi ilaj for constipation, constipation ka ilaj , qabz ka gharelu ilaj, qabz ka fori ilaj, qabz ka nuqsan

nariyal pani benefits in hindi – coconut water health benefits

Nariyal pani ke fayde in hindi nahi jante honge aap. Nariyal pani pine me jitna swadisht hai iske health benefits bhi utne hi jyada hai. aaj aap is health tips in hindi article me nariyal pani ke fayde ke bare me janege. yadi ye health tips apke liye fayde ke hue to hmara ye lekh likhne ka maksad pura hoga. hame umid hai ki ye lekh aapko psand ayega or aap iska pura fayda le sakenge. yadi aapke man men koi bhi swal ho to aap hamse comment ke madhyam se puch sakte hai.

Nariyal pani top 8 health tips in hindi

nariyal pani ke fayde 1
1. Nariyal pani naksir ke rogi ko nariyal pani roj pina chahiye. or roj khali pet nariyal ka sevan karna chahiye esa karne se bhi rak rukta hai.
2. yadi aap roj nariyal ke pani men khire ka juice milakr roj face (chehre) par lgaye esa karne se chehre ke dag dhabbe khatam hojate hai or aapka chehra sundar ho jata hai. yadi aap nariyal ke tel men nimbu ka ras milakr chehre par lgayenge to bhi aapke chehre ke daag dur honge ye upchar muhaso men bhi fayde ka hai.
3. yadi pet men kide ho gaye hae to roj subha 1 chamach pisa hua nariyal ka sevan karne se pet ke kide mar jate hai. saath men aap nariyal or pudine ki chatni bhi khaiye esa karne se pet se jude kafi rogo men rahat milegi.
4. nariyal ki giri men badam, misri, akhrot milakar khane se yaddasht badhti he dimag tej hota hai. nariyal ka tel or nimbu ka ras milakar roj balo men lgaye esa karne se aapke balon ki khushki khatam hogi or aapke baal majbut honge.
5. roj raat ko khana khakar 30 minutes baad nariyal pani pijiye nariyal pani khana khane ke bad pine se pachan kriya tej hoti he or khana sahi pach jata hai. or anindra jaesi bimari bhi dur rehti hai. to rpj nariyal pani pijiye.
6. roj subha nariyal ki giri khane se grabhvati (pegnent) mahila ki health achchi rehti hai. or baby ki health bhi achchi hoti hai. is giri ke karn bacha gora or tandrust peda hota hai. iske sevan se pregnancy men ulti me bhi aram milta hai.
7.yadi aapko sir dard jyada rehta hai to roj nariyal pani pijiye or nariyal giri khaiye iske karn aapka sir ka dars hamesa ke liye dur hoga.
8. yadi aap apna sondary nikharna chahte hai to ismen nariyal apki kafi sahyta kar sakta hai. chehre par jnha jhuriya hogai ho wnha roj nariyal ka tel lgaye esa karne se aapke chere ki sundarta badhegi or jhuriya khatm hongi. roj nariyal pani pijiye or nariyal giri khaiye esa karne se aapka sondarya badhega or chehre ke dag dhabbe dur hojayenge.
aap is video ko bhi dekh sakte hai
keywords:- coconut water benefits in hindi, coconut water benefits for hair, benefits of coconut water for skin, benefits of coconut water for skin and hair,

Kharbuja ke fayde – kharbuja in pregnancy

Kharbuja cantaloupe jise bharat mein maskamelan aur kharbuja ke naam se jaana jaata hai , to vaheen duniya ise rok melan ke naam se bhi jaanti hai . kai prakaar ke rangon aur aakar vaala kharbooja , kheera , kakdi ki tarah hi hota hai .
kharbuja
kharbuja ki paidawar india , iraan aur africa,  mein jyada hoti hai . khaasataur par garmiyon ke mausam mein aprail se lekar agast tak . mithe svaad ke saath garmiyon mein kharbuje ka sevan sharir ko thandak pahunchaata hai . saath hi isamen mojud water pani , minerals aur vitamins sharir mein zaroori poshak tatvo ki kamei puri karta hain .

Kharbuja ke fayde (muskmelon) in hindi

garmiyon ke mausam mein sharir mein pani ki aksar kamee ho jaate hai jise kharbooja kha kar kafi had tak kam kiya ja sakata hai . saath hi ye luu se bhi bachat hai . is ke saath hi kharbooja kha kar aapko kitne tarah ke fayde ho sakte hain , aaiye jaate hain .
  1. paachan kriya mein kharabuje se hone vaale fayde kabj mein aaraam pahunchaye isme kafi maatra mein pani aur faiber paaya jaata hai jo khaane ko asani se pachaakar kabj jaisee samasyaon ko door rakhata hai .
  2. Esiditee
    masaledaar bhojan khane ke baad agar pet mein jalan aur esiditee ki samasya ho to kharbooja kha kar ise door kiya ja sakata hai .
  3. Daayariya se rahat
    daayariya ki samasya se pareshan hai , to kharbooje ko kaali mirch , sendha namak , bhune hue jeere aur adarak ke saath milaakar khaen . turant raahat milatee hai .

Pregnancy ke samay kharbuja (muskmelon) khane ke benefits

  • garbhavastha ke dauran gussa, tnav, irshya se rahat.
  • matalee aur subah weakness ko dur karne me madad kare.
  • isme acha taral padarth hai jo pregnant lady ki body me water ki kami nahi hone deta.
  • ye fiber supplement se bharpur hae jo pregnant lady ko constipation (kabj) ko dur rakhne me madad karta hae.
  • isme acha nutrition content hae. jo pregnant lady ko acha poshan deta hai.
  • ye pregnancy mein blood pressure high or low dono hi tarike ke blood pressure ko control karte hai.
  • ye pregnancy ke doran minor infections or fever, cold men aram deta hai.
1. Calcium
kharbooja mein calcium ki matra adhik hone ke karan aapke bachche ki majabut haddi aur daant ki sanrachana mein madad karta hai. kailshiyam garbhavastha ke dauran maa aur bachche donon ke liye bahut mahatvapurn hai.
2. Phosphorus
phosphorus prasav ke dauran prabhavee maansapeshiyon ke sankuchan ke liye mahatvapurn hai. ya bhee rakt ke thakke (blood clotting,) , gurde samaaroh ( kidney function) , tantrika chaalan (nerve conduction) , otakon (tissue repair) ki marammat aur dil samaaroh (heart function) mein madad karata hai.

kharbuja other health benefits in hindi

skin teksachar, daag-dhabbe aur tvacha ki nami ko banae rakhata hai, mahilaon mein peeriyads ke dauraan hone vaalee jyaada bleeding aur navajaat shishu ke lie doodh ko badhaata hai, kam kailoree ke kaaran motaapa kantrol karata hai, dil ki bimariyon, blad preshar aur aartareez kee akadan ko kam karata hai, cainsar, entee enjing aur daayabiteez ko kam karata hai, baalon ke girane ki samasya ko kam karake use poshan pradaan karata hai, baalon ke vikas ke liye faydemand hae .
keywords:- kharbuja in pregnancy, is musk melon safe during pregnancy, kharbuja fruit benefits in hindi, kharbuja fruit in english, what fruits are good for you when pregnant,muskmelon benefits for skin, sweet melon during pregnancy, kharbuja khane ke fayde

general motors gm diet plans for indians in hindi

General motors gm diet plans ke naam se famous ye diet kafi sare bhartiyon ko fayda de chuki hae. or others country men bhi kaafi sare insaan is general motors gm diet Plans ko apna chuke he or iske benefits le chuke hae. general motors gm diet plans ko apna kar kafi lose weight fast kar chuke hae. or ye diet plan puri trha vegan diet plan (gm diet veg) hae. yadi aap is vegetarian diet plan (gm diet veg) ko apnate hae to aap 7 dino men apna weight 7 se 8 kg tak loss kar sakte haen. wo bhi bina kisi weakness ke.

General motors gm diet plans 7 days – gm diet plan for indians

general motors gm diet plans for indians in hindi
shuru men ye general motors gm diet plans thoda mushkil ho sakta hae. shuru men aap ko sirf fruits hi khane hae bas bnana (kela) nahi khana hae. aap shuru men ye fruits khaiye tarbuj (watermelon), seb (apple), anar (pomegranate), papita (papaya), jaese fruit hi khaiye. or pure din paani bhi kafi piye taaki apko energy milti rahe. yadi aap pure din sirf tarbuj (watermelon) ya kharbuja khayenge to 1 kilo tak weight loss kar payenge. ye baat jarur yad rakhni hae ki fruits ke alawa or kuch bilkul bhi nahi khana hae.
ab tisre din aapko sirf vegitabels hi khane hae. ubli hui ya kachi sabjiyan khani hae jaese patta gobhi (cabbage), khira (cucumber), tamatr (tomato), fulgobhi (Cauliflower), etc. din ki shuruat uble hue aalu khakar kare. isse apki body ko jruri karbohaidrate mil jayega or pure din ye aapki body ke liye kaafi rahega. lekin ek baat yaad rakhe ki 1 alu se jyada nahi khayen. pet bharne tak sirf sabjiyan hi khani hae or kuch nahi.
tisre din fruits or vegetables dono khane haye. khub ubli hui sabzi or fruits khaiye or paani bhi khub pijiye. aalu nahi khana hai is baat ka dhyan rakhe.
tin din se aapko kela khane ke liye mana kiya gya tha lekin chothe din kela khana hae. is din aap sirf kela or dudh hi khaye. vese to kela khane se weight badhta hae lekin is diet plan men sharir ko potassium or sodium dene ka kaam karega. aap pure din men 6 kele or 4 gilas dudh pijiye. yadi aapki icha ho to aap sup bhi pi sakte hae inme se kisi bhi ek ka or din men sirf 1 baar. shimla mirch, pyaz, tamatar, ka.
5th day aap tamatar ankurit chane ya panir kha sakte hae. aap inka sup bnakar bhi pi sakte hae. pani pine ki matra bhi badhani hae jitna jyada ho sake pani jrur piye.
6th day aap ankurit anaj ya dusri sabjiya bhi kha sakte hae. lekin ye yaad rakhe ki tamatr nahi khana hae. khub sara pani pina hae esa karne se apko kafi fayda hoga or aapko apne sharir men fark dikhne lagega.
7th day ye akhri din hae is din aapko fruits juice hi pina hae. adhi roti bhi kha sakte hae. akhri din aapka jo man kare wo sabjiya bhi khasakte hae. lekin paani bhi khub saara pina hae. yadi aap ye dite plan pura karliya to aapko iske kafi ache result milenge.
yadi aapko ye lekh psand aya to dusro ko bhi bataye.
keywords: general motors gm diet plansgeneral motors dietgm diet vegetarian, 

mango nutrition Benefits in hindi – aam khane ke fayde

Mango nutrition hindi article men aaj aap janenge ki is fruit me hmari health ke liye kitna fayde ka hae. “aam falo ka raja” ye kahwat to aapne suni hi hogi. ye thoughts kafi mashur hae. mango ke baare men aap or ham sabhi jaante hae. lekin kya apne aam ke faydo ke baare men vichar kiya hae. kya aap ye jaante hae ki aam men aapki health ke liye kitne benefits hae.
mango nutrition aam khane ke faydemango ko “The king of the fruits” ese hi nhi kaha jaata iske fiche kaarn bhi king waale hae. pure bhart men aam ki kaafi saari kism payi jati hae. jaese
  1. Alphonsos – aam
  2. Badami – aam
  3. Chaunsa – aam
  4. Dasheri – aam
  5. Kesar – mangos
  6. Langra – mangos
  7. Kalmi Neelam – mangos
ye sabhi mangos varieties khane men kaafi swadisht hae or in sabhi ka apna alag swad hae aap in sabhi mangos se paricit honge ab niche aap mango nutrition Benefits ke baare men janege.

Mango nutrition  health Benefits

  • Aam men fiber, vitamins, minerals, antioxidant compounds kafi rich matra men hae isiliye aapko roj ye fruit khana chahiye.
  • abhi new research men ye paya gya hae ki ye fal aapki pet, stan , lyookemiya aur prostet cancers se aapki raksha karta hae. adhyano se ye sanket mile hae ki is men anti-oxidant compounds hae jo aapko cancer jaese rogo se dur rakhta hae.
  • aam ka phal vitaamin a aur beeta kairoteen, alpha kairoteen , aur beeta chryptoxanthin flavonoids ka bahut achchha srot hai .
  • taaja mangos potassium ka acha source hae. 100 gm fruit men 156 mg potassium paya jaata hae. potassium aapke heart ke liye or aapke blood pressure ke liye kaafi fayede ka hae. isi liye is fruit ko roj khaiye.
  • is fruit men vitamin-B6 (pyridoxine), vitamin-C and vitamin-E ka acha source hota hae. ye aapki body se hanikark tatv ko baahar nikalne men help karta hae. or jab jehrile tatv aapki body se bahar nikal jayenge to aapki health achi ho jayegi.

Mango nutrition Benefits in Cholesterol

  • mango nutrition fruits mein fibers aur vitaamin c achi maatra mein hote hain jo lo densitee lipoproteen ( emaleeel ) yani baid Cholesterol ka star kam karane mein madad karate hain .

Skin benefits

  • mango nutrition ke fayede ke kaarn aap is fruits ko khane ke saath iska face pack bnakar face par bhi lga sakte hae iske use karne se aapki skin ke romchidr khulte hae.

Eyes benefits

  • aam men vitamin a jyada hota he jo aapki aankho ki roshni ko badhata hai or ratondhi jaise rogo ko dur rakhta hae.

Madhumeh men men fayedemand

  • aam jitna fayde ka hae iske leaves bhi utne hi fayde ke hae. is fruit ke leaves aapke khun men insulin ka star badhte hae. yadi aap roj raat ko ye patte pani mein bigode oe subha is paani ko piye to aapke shrir men insulin normal rahega.

Kabj ko khatm kare

Kabj ko dur kare yadi aapka pachn acha nhi hae to aap roj is fruit me ese nutrition kafi matra men hote hae jo aapke pachn ko acha rakhenge aap is mangos ko khaiye aapka pachn thik rahega or yadi aapka pet thik rahega to aap swsth rahenge.

Rog pratirodhak shakti/ Immunity Boosting

Isme vitamin a, nutrition to hota hi hae or saath men 25 prkaar ke Carotenoid kaafi matra me hote hae jo aapki body ki rog pratirodhak shakti ko bdhate hae.
tag:- mango fruit information, vitamins in mangos, mango nutrition, aam khane ke fayde, mango ke gun, aam ke patte ka upyog

body ko strong bnane ke liye healthy food

healthy food Healthy food Benefits in hindi. aaj aapko healthy food ke baare men pta chalega ki ese konse foods hae jo aapki body ko healthy bnaye rakhne ke liye jruri hae. is lekh ko padhkar aap apni body ko healthy rakh sakenge ese hmae umid hae. to in health tips ko achche se padhiye.

Healthy food Ankho ki care ke liye gharelu upay

Ankho ki care karna bahut jaruri hae. Yadi aap apni ankho ki care na kare to aapko eyes se sambndhit aneko rog ho sakte hae. Yadi ek bar aapko ankho ka koi bhi rog ho gya to wo jaldi thik nhi ho sakta. Pr chinta ki koi baat nhi hae thoda samye jrur lage ga prantu aap ki aankhe thik jrur hijaengi. yadi ap ankho ki roshni badhane ke upay dhundh rahe hae to ye dadi maa ka gharelu nuskha aapke kaafi kaam ka ho sakta hae.

1. Healthy food Ankho ki roshni badane ke liye

Palak khane ke fayde
Yadi aapko aankho men koi bhi rog hae jese ankho ki kamjoiri, ankho me pani aana etc. Kehne ka matlb ye hae ki yadi aap roj subha hari Palk khaenge to aap in aankho ke rogo se dur rahenge. Yadi koi rog ho bhi gya hae to bhi aap ise dur kar sakenge. isi liye roj morning men khali pet paalk jrur khaye.

2. sarso ka tel in hindi

Yadi aap roj sarso ka tel paryog kare to ankho ke rogo ke alawa bhi aneko ese rog hae jinse aap dur reh sakte hae.
Jab bhi koi bhi sabji bnaye to sarso ke tel ka hi paryog kare. Roj ankho men sarso ka tel lgaane se aankhe kabhi kamjor nhi hoti.
Note. Sarson ka tel sirf kachi ghani waala hi paryog kare.

3. Amla ke fayde Healthy food

Roj morning men khali pet amla ka juice piye ya kacha amla khale roj 2 amle khaane se achche laabh milte hae.
amla ko khane ka ye trika bhi aap istemal kar sakte hae. jb bhi aap sabji bnaye to amla us sabji men daal de jab sabji bankar tyar ho jaye to us amla ko nikal le or bhojan ke baad khaale.
Amla ke fayde ye hae.
1, ankho ki roshni badhegi. eyes care karne men asani hogi.
2, ise khaane se aapke baal kale honge. kafi logo ko ye problem hoti hae ki unke baal jaldi safed hote hae. amla ke paryog se aapke hair kaale hone lagenge.
3, bhojan achche se pachega or bhukh achi lagegi.
4, apka rakt khun shudh hoga nya khun blood bnega.
5, amle ko khane se ya amla ka juice pine se kabj jaldi khatm hoti hae.
6, yadi aapko khatti dkaare presan karti hae to khatti dkaare ani band ho jayengi.
7, jaldi budhapa nahi aayega isi liye roj amla ka istemal karen.
amla ka juice bhi aap use kar sakte hae.

4, santra khane ke fayde hindi me

santare ke baare mein aap sabhi jaanate hi honge . apne desh aaryavart mein ham sabhi santaron se parichit hai. santara khaane mein khatta aur mitha hota hai . ye Healthy food santara khaane mein jitana svaadisht hai isake laabh (benefits) bhi utane hi adhik hai . santare ke benefits is prakaar hai.
1. aankhon ki roshni ko badhaata hai .
2. blood khun saaf karata hai .
3. kabj ko khatm karata hai.
4. bhukh achi lagti hai .
5. chehare ki sundarata ko badhaata hai.
6. aapke face ka rang saaf hota hae.

5. Desi chana benefits in hindi

yadi aap roj kacha desi chana khate hai to aap acha aur majabutt sharir (strong body) haasil kar sakate hai. desi chana aapke aankhon ki roshni ko badhaata hai. aur aankho ki kamjori ko hamesa ke liye dur karata hai. ye desi chana sabse acha Healthy food hae.
Desi chane ko istemaal karane ka tarika.
Roj 1 choti catori chane kisi mitti ke bartan mein bhigode aur roj subah in chano ko khale aur upar se desi gaye ka dudh milk pilen.
dusra tarika ye hai kee jab bhi aap gehun ka aata piswaye to gehun ke sath desi chana bhi piswale aur iski roti khayen.
fir dekhiye isko use karne se aapki body strong hogi or kamjori dur hogi. or aapko kaafi takat milegi. ye desi chana virya badhane ke upay men sabse acha hae.
desi chane ko paryog karne ke ye dono hi tarike aap ek saath apna sakte hae. esa karne se aapko jaldi or badhiya laabh milega.
tag: healthy food in hindi, body kaise banaye, health food ke fayde, Healthy Food Benefits in Hindi

Anjeer benefits in hindi- fig nutrition

Anjeer benefitsAnjeer benefits yadi aap roj anjeer khaate hain to aap ko anekon health benefits milenge. aaj is Anjeer benefits health article mein aap (figs) anjeer ke fayde ke baare mein jaanenge. many peoples ne anjeer ke gun se labh liya hai. aap bhee anjeer se labh utha saken ye hi hamaara Anjeer benefits article likhne ka maksad hai. hamen umeed hai ki ye lekh aapake liye helpful siddh hoga.

1. Anjeer benefits diagnostic system in hindi

Anjeer (fig) ek fiber food hae ismen fiber adhik maatra mein paaya jaata hai. fiber adhik hone se ye kabj ko jad se khatm karata hai, yadi aap figs (अंजीर) ko roj sevan karenge to aapako pet se related rog preshan nahi karenge. aur pet saaf rahega kabj aur gais jaise rog aapase koson door rahenge. yadi aapaka pet healthy hai bhojan thik pachata hai to aapako kabj ka rog nahi ho sakata.

2. Anjeer benefits of figs best way to lose weight hindi me

Fig anjeer mein fiber to adhik hota hee hai. or ismen fat bhi kaafi kam hota hai. ye ek fastest way hae weight lose karne ka. aur aapako taakat bhei dega kamjori door rahegi. to der kesi anjeer khaiye or motapa kam kijiye is dadi ma ke gharelu nuskhe se.

3. Symptoms of high blood pressure

Yadi aap daily fig (अंजीर) ka sevan kar rahe hai to aap high blood pressure (high bp ) jaise rog ko hamesa ke lie door rakh sakate hai. or aapka normal blood pressure hojaega. yadi aapako uchch raktachaap (high blood pressure) nahi hai to bhei aap isaka sevan kijiye aapko kafi laabh hoga. Future mein kabhi high bp ka rog nahei paresan karega.
4. Dried figs nutrition Anjeer benefits
Ismen uchch maatra mein aise gun hote hai jo aapakee rakt koshikaon (blood cells) ko healthy rakhate hain. aur hart dil se sambandhit rogon ko nahi panapane dete isliye dil ke rog aapase door rahate hai.
5. Anjeer figs foods for strong bones
yadi aap roj anjeer khaate hai to aapki haddiyaan (bones) majaboot rahengee . 1 anjaiair mein 3% calcium hota hai aur ye calcium aapki bones haddiyon ko strong bnaega ab ye anjeer benefits jaanne ke baad aap is (bhartiye) indian fruits ko jrur kahenge .
6. Fig benefits for Pregnant Women.
Jaisa ki upar bataaya ja chuka hai ki figs men fiber rich hone ke kaaran pet ke rogon ko door rakhata hai. yadi pregnancy me mahilaon ko isaka ka use karvaya jae to pregnancy ki samye hone vaalei kabj ko khatm kiya jaasakega. aur baby care men madad milegi shishu ka swasthya bhi achchha hoga Pregnant Women ko isse kaafi saare benefits milenge.
7. Anjeer benefits dry cough remedies in hindi
Yadi aapako cough (khansi) hai to anjeer aur sonf (सोंफ) ko milaakar khaiye aur cough khansi mein aaraam hojaega . jaldi hi aapki khansi thik ho jaye gi.
8. Angeer benefits wound care in hindi
Yadi aapako ghaav ho gaya hai to aap ye upaye keejiye aapako achche benefits milenge milk me dry anjeer ko pis kar pest banaalen, aur ghaav par lagaalen is is gharelu tarike upchar se jaldi hi ghaav bhar jaega.
9. Swelling home remedies in hindi
Yadi gale mein sujan hogai hai to isaka kaadha bnaye aur ise pijiye jaldi hi sujan thik hojayegi yadi jibh par sujan hai to iskon achche se pis kar lagaane se laabh hoga .
10. Weakness in body
yadi aapki body me weakness (kamjori) rehti hai aur body mein taakat kam hai to roj ise khaye or upar se doodh pile aapako kaafi jaldi fayeda hoga. weakness jaldi hi khatm hogi aur aapako taakat milegi.
11. Figs and diabetes
Yadi aapako diabetes (shugar) madhumeh rehta hai to aap figs khaiye aapko vishesh laabh milega. isake prayog se aapako madhumeh ko door karane mein healp hogi.
12. Treatment for asthma in hindi
Asthma dame ke patient ke lie ye fig kafi usefull hae roj ise khaiye aur dama (asthma) jaise rog ka treatment kijiye or healthy rahiye.
Mitro yadi aapka koi swaal hae to aap hamse comments ke dwaara puch sakte hae.
keywords: fig benefits in hindi, fig nutrition, pet ke rog hindi, weight loss tips in hindi for women, slimming tips in hindi,
aap ye video bhi dekhe

Amla juice ke fayde slimming tips in hindi

Amla juice benefits
Amla Juice for Weight Loss in hindi
Amla juice ek bhartiye oshadhi hae jismen Vitamin C kafi matra men paya jata hae. is amla benefits hindi article men hamara jor is baat pr rahega ki ham amla se wajan kaise kam kare.amla juice benefits in hindi
motapa jab badhta hae to sharir men charbi kafi badhne lagti hae. yadi samye rehte weight pr controll nahi kiya jaye to sharir badsurat dikhne lagta hae.
amla juice weight loss karne men kafi fayede ka sidh hota hae. chaliye dekhte hen amla ke fayede.

Amla juice se pet kam karne ka tarika

Amla juice se weight loss karne ke tarike
1. Amla ka juice metabolism ko bdhaye
Aap roj amla juice piye isme ese proteins hote hae jisse metabolism badhta hae.
yani metabolism naturally tarike se sharir ka fats teji se ghtata hae. amla vitamins or minerals ka naturally sorce he. iske sevn se metabolism kafi teji se badhta hae jiske karn jaldi weight loss hota hae. amla juice healthy rehne ka ek achcha sorce hae.

2. Amla juice se jehrile tatv khtam hote hae

Vitamin C adhik matra me hone ke karn amla ke juice men wo takt hae ki aapke boady ke hanikark tatvo ko bahar nikal deta hae.
yadi aapko malum ho ki amla ke juice se vishele tatv jb bahar nikal jate haen to skin ki beauty badhti hae to ye beauty tips bhi he or gora hone ke upay bhi he.
Gora hone ki cream ka kam karta hae.
Amla ka juice hanikark toxic ko bahar nikalta hae jisse aapka weight loss hota hae. Or patle logo ka body banane ka tarika bhi hae.
3. Amla ke juice se sharirik kamjori ka ilaj
Amla ke juice ka ek benefits fayeda ye bhi hae ki ye aapka weight loss to karta hi he or saath men aapko takat bhi deta hae.
Amla water ka ek achcha strot hae jo aapki body men pani ki kmi nhi hone deta. amla juice men ese tatv paye jate hae jo aapko halke pan ka to ehsas krate hi he saath men aapko healthy bhi bnae rakhte he. asal baat ye he ki Amla juice un sabhi ke liye fayede ka he jo over weight ho chuke he. or jo sharirik kamjori ka ilaj dhund rahe he.
4. Amla ka juice hi nahi kacha amla bhi weight loss kare
Amla ka juice hi aapka weight loss nhi karta balki kacha amla bhi aapka motapa kam karta hae. yadi aapka pachan tantra digestive system achcha hae to aap motape se chutkara pa sakte hae.
kyonki kacha amla ke sevan se aapke pachan tantra ko shakti milti hae. kacha amla ke karn hi aap khana achche se pcha skte hae. kacha amla achche fibers ka strot hae jo kabj ko khtam karta hae or weight loss karta hae.
Dosto yadi aapka koi swal hae to aap comment ke dwara ham se puch sakte haen. ham aapki mdad jrur krenge. umid hae ki ab aap amla ka sevn shuru karenge jisse aap healthy reh sakenge.
keywords: amla health benefits, fat loss tips in hindi, slimming tips in hindi, fat loss tips in hindi language, fitness tips in hindi
ye video dekhna na bhule

8 best fruits for weight loss tips in hindi

Pet kam karne ke tarike fruits ki mdad se


Pet kam karne ke tarike Pet kam karne ke tarike
 me ya Wajan ghtane men ye 8 fal teji se aapki mdad krenge. pet ki charbi kam karne ka chalan in dino joro pr hae. jise dekho wo hi pet ki charbi kam karne ke trike ke baare men jana chahta hae.
wese to pet kam karne ke tarike kafi hae. lekin pet kam karne ke tarike men ye fruits apna khas yogdan de skte haen. kuch fal ese bhi haen, jo pet ki charbi kam karne men istemal hote hae.
aaj ham is hindi article men kuch ese hi fruits ke dwara. pet kam karne ke tarike ke bare men janege. inme calorie kam hoti hae, natural sugar hoti hae. ye 8 fal ese teji se wjan kam krte haen.

1:- weight loss karne men Seb ke fayde in hindi

pet kam karne ke tarike me seb ka apna hi yogdan hae. ek seb roj khao or doctor ko dur rakho ye kahwat to apne suni hi hogi. ye bahut km log jante haen ki seb men pektik naam ka faibar hota he.
jo sharir men puri trha ghul jata hae. yahi faibr sharir celes dwara liye jane wale fats ko control krne ki takt rkhta hae. yadi aap roj seb khaye to is pet kam karne ke tarike ke dwara liye jane wale fets ko control kar skte haen.
2:- Motapa kam karne men tarbuj ke fayde
tarjub se sharir men na keval fluij rintesn km hota hae balki ye kabaj or tvcha ki smsya ko bhi control krta hae.
is fal men paani bhi adhik hota hae jiskarn pet jaldi bhar jata hae or sharir men calorie bhi km jati hae. yadi aap tarbuj ko roj apne bhojan men shamil karte he to aap apne wjan ko kam kar sakte hae. garmiyon me pet kam karne ke tarike me ye tarbuj kafi fayede ka hae.
3:- Awokado fruits (nashpati jaesa fal) 
ye fal faets se bhrpur hae .isme kafi matra me pet ki charbi ghatane ke tatv paye jate hae. or isme pani hota hae. isko khane se metabolism badhne ke sath testosterone hormone badhta hae. jisse aapka wjan ghtta hae.
4:- pet kam karne ke tarike men nashpati ke fayde
ismen faibar adhik matra men hota hae jisse kabaj nhi rehti or khana bhi achche se pach jata hae isliye wjan ghatane men nashpati ka sevn jrur kre.
5:- Santra se motapa kam karne ka tarika
santre men vitamin c ki matra adhik hoti hae. isse aapki tvcha trotaja rehti hae. ismen pani faibar adhik hote haen or ye wjan ghtane men kaafi laabh kari sidh hota hae. isliye santre ko roj khaye.
6:- Aadu ke fayde
ye fal aanto ko saf rakhne men kafi upyogi hae. ismen ese tatv haen jo pet ke aaspas chrbi jma nhi hone dete.
7:- Strawberry fruits health benefits in hindi
Strawberry khane men jitni swadist hae utni hi ye teji se wjan ghtati hae. ismen ese tatv hote haen jo wjan ghtane men kaafi teji dikhate haen.
8:- Khubani fruit benefits in hindi
khubani jo faibar hote haen wo pani ko abjorw kr lete hae. isse shrir ki partirodhk shamta bhi badhti hae jo aapko rogo se ladne ki shakti deta hae. ye aapko tandrust bnakar rakhta hae . or aap sawasth jivn jite hae. ye aapke wajan ghtane men kaafi yogdan deta he.
Umid hae ye pet kam karne ke tarike aapko kafi pasand aye honge or aap inse kafi labh lenge. yadi aapka koi swal hae to aap comments ke dwara hamse puch sakte haen. aapki sahyta karke hame khushi hogi.
jra inhe bhi padhe
Keywords: motapa kaise kam kare, motapa kam karna in hindi, pet kam karne ka yoga, motapa kam kaise kare, weight loss tips in hindifast weight loss tips in hindi
About 144 results (0.12 seconds) 
Stay up to date on results for konfal.
Create alert

About 8,420 results (0.31 seconds) 
Borivali West, Mumbai, Maharashtra - From your Internet address - Use precise location
 - Learn more   








No comments:

Post a Comment